Dasht-e-Tanhai……….

“When there was nothing, there was God
If nothing had been, God would have been
My very being has been my downfall
If I hadn’t been, what would it have mattered?”

5 Responses

  1. Chaltey huey sochta hoon ab khatam ho jayega safar
    Manzil dikhi nahi ki Aaagaz-e-Safar hua………………

  2. Kahaan kho gaya mera gurror-e-Dil
    Kehta tha tum ho… bas tum!!! koi aur nahi
    Toot gaya chan-sey…. mehsoos bhi nahi hua
    Ab zehan mein aaya bahut der hui hai………..
    Chahney se bhi waqt lot ke na aa sakta hai
    Kuch bhi karey zamana kuch bhi nahi chalta
    Kahtey hain Khuda ki marzi ke bagair pata bhi nahi hilta………
    >>>

  3. Faasale aise bhii honge ye kabhii sochaa na thaa
    saamane baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa

    vo ki Khushbuu kii tarah phailaa thaa mere chaar suu
    main use mahasuus kar sakataa thaa chhuu sakataa na thaa

    raat bhar us kii hii aahat kaan mein aatii rahii
    jhaank kar dekhaa galii mein koii bhii aayaa na thaa

    aks to maujuud the par aks tanahaaii ke the
    aaiinaa to thaa magar us mein teraa cheharaa na thaa

    aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye
    aaj main royaa to mere saath vo royaa na thaa

    ye sabhii viiraaniyaan us ke judaa hone se thiin
    aankh dhundhalaaii huii thii shahar dhundhalaayaa na thaa

    yaad karake aur bhii takaliif hotii thii “Adeem”
    bhuul jaane ke sivaa ab koi bhii chaaraa na thaa

  4. Thanks guys 4 the response

  5. Haan mein pagal Hoon… Pagal ban ke rahta hoon
    Tum pagal to nahi phir bhi pagal jaise rahtey ho….

    Duniya chahey kuch bhi karey, kuch bhi kahey
    mein kyon manoon, mein kyon karoon
    Jo aur kartey hain, kahtey hain, karney do
    mujhe jeena aata hai, jee loonga,
    Unhey kya, mein Mar jaon, kuch Kha loon
    Wahan to sab nahi poochengey, Tum jaanety ho
    Yahaan Dikhawa kis baat ka, dar nahi lagta
    Mein to darta hoon.. isi liye kisi ki khushamad nahi karta
    sab ke saamney mein badkismat hoon, par meri kismat mujhe pata hai sab se buland hai

    –Awara…..Pagal …..Deewana

Leave a Reply